nahi kertay…..

Posted by admin on January 26th, 2009

bunjaray kabhi rishton ki tijarat nahi kertay
hum log dikhaway ki mohabbet nahi kertay
milna hai to ajeet lay maidan mai hum ko
hum appnay Kabeelay se beghawat nahi kertay
kisi se koi nata hum jorra nahi kertay
mila lain hath to umer bhar chorra nahi kertay
ager faisala ker lain kahin se couch kernay ka
to phir wapis maharon ko kabhi [...]

Kal Raat

Posted by admin on January 26th, 2009

Kal Raat Urr Rahey They Sitarey Hawa K Saath
Aur Main Udaas Betha Tha Apney Khuda K Saath
Ya Tau Qabooliat K Tareeqey Sikha Mujhey
Ya Mere Dil Ko Dhaal De Apni Raza K Saath

Suno Pagal..!!

Posted by admin on January 26th, 2009

Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!

Khuwab Mat Daikho…

Posted by admin on January 26th, 2009

Kaha Tha!!
Khuwab Mat Daikho,
Ke Inn Ke Tootney say,
Kirchiyaan Aankhon Mein,
Chubhti Hain…
Phir Aankhein,
Khoon Roti Hain….!!!

dukh kia hota hai…..

Posted by admin on January 26th, 2009

tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay [...]

EK teri hi……

Posted by admin on January 26th, 2009

EK teri hi chahat mein hum aag se khele,
sehra hi paya humne ye daria cheer ke

MUGHYA TUMSAY MOHABBAT HAI

Posted by admin on January 26th, 2009

Ksi kamzoor lamhay main
agar main tum say ya kah do
k mughay tumsay mohabbat hai
to tum ya mat samagh laina
k mainay sach kaha hoga
asi dilnasheen baton ko asi dibar adao main kahna
mughay bachpan sai aata hai
meri aankhain mera chahra
mera ya bey sakhta lahja
ya sab kuch jhoot kahta hai ,
magar…………………………..
iss jhoot main ik sach bhi hai
k……………………………………
MUGHYA TUMSAY [...]

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

Posted by admin on January 25th, 2009

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,
aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai
sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana [...]

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

Posted by admin on January 25th, 2009

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire [...]

chaahiye thaa…………

Posted by admin on January 25th, 2009

kab uskaa visaal chaahiye thaa
bas aik Khayaal chaahiye thaa

kab dil ko javaab se Gharz thii
hoNToN ko savaal chaahiye thaa
shauq ek nafas thaa aur vafaa ko
paas-e-maah-o-saal chaahiye thaa
ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
be-misl-o-misaal chaahiye thaa

ek qarb meN zaat-o-zindagii haiN
mumkin ko muhaal chaahiye thaa
…………………………

mmorpg


Autoversicherung und KFZ Versicherung - diese Seiten können hier erstellt werden.

Powered by http://www.07x.net .